Phir Ke Gali Gali Tabah Thokarain Sab Ki Khaaye Kyun

Phir ke gali gali tabaah thokarain sab ki khaye kyun

Phir ke gali gali tabah thokarain sab ki khaye kyun
Dil ko jo aql de khuda teri gali se jaaye kyun

Rukhsate qaafila ka shor gash se humain uthaye kyun
Sote hain unke saaye mein koi humain jagaaye kyun
 
Baar na the Habeeb ko paalte hii gareeb ko 
Royen jo ab naseeb ko chain kaho ganwaye kyun
 
Phir ke gali gali tabaah thokarain sab ki khaye kyun
 
Yaade Huzoor ki qasam gaflate aish hai sitam 
Khoob hai qaide gham mein hum koi humein chchudaye kyun
 
Dekh ke Hazrate Ghani fail padhe fakeer bhi
Chaayi ab to chauni hashr hi aa na jaaye kyun
 
Jaan hai ishqe Mustafa roz fuzoon kare Khuda
Jis ko ho darf ka maza naaze dawa uthaye kyun
 
Phir ke gali gali tabaah thokarain sab ki khaye kyun
 
Hum to hain aap dil figaar gham mein hansi hai na gawaar
Ched ke gul ko nau bahaar khoon humein rulaye kyun
 
Ya tou yunhi tar’rap ke jaayain ya wohi daam se chur’rayain
Minnate gair kyun uthayain koi  taras jataaye kyun
 
Unke jalaal ka asar dil se lagaaye hai qamar
Jo ki ho lot zakhm par daaghe jigar mitaaye kyun 
 

Phir ke gali gali tabaah thokarain sab ki khaye kyun

Khush rahe gul se andaleeb khaare haram mujhe naseeb
Meri bala bhi zikr par phool ke khaar khaye kyun
 
Garde malaal agar dhule dil ki kali agar khile
Barq se aankh kyun jale rone pe muskuraye kyun
 
Jaane safar naseeb ko kis ne kaha maze se ho
Khatka agar sehar ka ho shaam se maut aaye kyun
 
Ab to na rok aye ghani aadate sag bigad gayi
Mere kareem pehle hi lukmaye tar khilaye kyun
 
Raahe Nabi me kya kami farshe bayaaz deeda ki 
Chadare zil hai malgaji zere qadam bichaye kyun
 
Sange dare Huzoor se hum ko khuda na sabr de
Jaana hai sar ko jaa chuke dil ko karaar aaye kyun

Hai to Raza niraa sitam jurm pe gar lajaaye hum
Koi bajaaye soze gham saaze tarab bajaaye kyun

Phir ke gali gali tabaah thokarain sab ki khaye kyun
Dil ko jo aql de khuda teri gali se jaaye kyun

Exit mobile version