Naat Lyrics

Mein Sajdah Karun Ya Keh Dil Ko Sambhalun

Mein Sajdah Karun Ya Keh Dil Ko Sambhalun – Naat Lyrics inUrdu

Mein sajdah karun ya keh dil ko sambhalun

muhammad ki chokhat nazar aa rahi hai

Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un

tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hei

Do aalam ka daata mere saamne hain

ke kaabe ka kaaba mere saamne hai

Galai main hein zulfain to neechi nigahain

nazar chuumti hei madine ki raahein

Farishte bhi barh kar qadam choomte hein

muhammad ki jogan chali aa rahi hai

Faqeeri ka mujh main nahiin hei saleeqa

na aata hei kuch maangne ka tareeqa

Idhar bhi nigaahe karam kamli waale

zamane ki jholi bhari ja rahi hai

Farishto sar-e-raah ankhain bicha do

uttho behr-e-tazeem sar ko jhuka do

Khuda keh raha hei mere dilruba ki

wo dekho sawaari chali aa rahi hai

Ye farmaya haq ne ke pyaare muhammad

hamare ho tum ham tumhare muhammad

Hamain apne jalwon main eh kamli waale

tumhari hi surat nazar aa rahi hai

Ye jazba muhabbat hei rahmat khuda ki

hei chokhat mere saamne mustafa ki

Mujhe kyun na ho naaz qismat pe muslim

muhabbat kahaan ki kahaan la rahi hai

Read More:

Urdu/English Websites related to Islam. Islamic website for preaching & educating Islam, knowledge and information in the light of Quran and Sunnah. Collection of Naat Lyrics

You can find Islamic Article/Blog here in Urdu/English

islamkidunya.com

Urdu Quotes, best to share on Facebook with friends. Best Collection of, Quotes, Images, Motivation, Inspirational Thougts.
 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision Islamic Duas! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! SABR.. Beautiful. Masha’Allah ❤ Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! Islamic Duas! Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤ Allahumma innaka `afuwwun tuhibbul `afwa fa`fu `annee