Manzar Fiza e Dahar Mein Sara ALI Ka Hai – Manqabat-e-Hazrat Ali (R.A)
Manzar Fiza e Dahar Mein Sara ALI Ka Hai
Jis simt dekhta hu nazarah ALI ka Hai.
Dunya e Aatshi ki phaban Mujtaba HASAN,
Laqt-e-jigar NABI ka to pyara ALI ka hai.
Hasti ki aabo taab HUSSAIN aasman janaab,
ZEHRA ka laal raaj dulara ALI ka Hai.
Marhab do neem hai sar-e-maqtal pada hua,
Uthne ka ab nahi ke ye Mara ALI ka hai.
Kul ka Jamaal juz ke chere se hai ayaan,
Ghode pe Hai HUSSAIN nazara ALI ka hai
Ay Arze Paak! Tujh ko mubarak ke tere paas,
Chamane NABI ka Chand sitarah ALI ka hai
Ahle hawas ki luqmae tar par teri nazar,
Naane Jawee pe sirf guzara ALI ka hai…
Tum dakhl de rahe ho aqidat ke baab me,
Dekho muamela yeh hamara ALI ka Hai
Hum faqr mast chahne wale ALI ke hain,
Dil par hamare sirf ijara ALI ka hai…
Aasar padh ke mehdi-e-dauran ka yon laga
Jaise zahoor wo bhi dubarah ALI ka Hai
Dunya me koun hai apna bajuz ALI,
hum bekason ko hai to Sahara ALI ka hai…
Ashabi’kan nujoom ka irshaad bhi baja,
Sabse magar buland sitara ALI ka hai…
Tu Kya Hai aur Kya hai tere ilm ki bisaat,
Tujh par Karam Naseer yeh Saara ALI ka hai.
Manzar Fiza e Dahar Mein Sara ALI Ka Hai
Jis simt dekhta hu nazarah ALI ka Hai