Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda

Chala Hoon Eik Mujrim Ki Tarha Mey Janib E Taiba
Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeda Larzeda

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda

Kise Key Hath Ney Mujh Ko Sahara Dey Diya Warna
Kahan Mey Aur Kahan Ye Rasty Pechida Pechida

Kahan Mey Aur Kahan Us Roza E Aqdas Ka Nazara
Nazar Us Samat uthte hey Magar Duzdeda Duzdeda

Ghulaman E Mohammad Dour Sey Pehchany Jaty Hein
Dil E Girweda Girweda Sare Shoreda Shoreda

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda

Madine Jaa Key Hum Samjhy Taqadus Kis Ko Kehty Hein
Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjida Sanjida

Basarat Khoo Gai Lekin Basirat To Salamat Hey
Madina Hum Ney Dekha Hey Magar Nadeda Nadeda

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda

Wohi Iqbal jis Ko Naaz Tha Kal Khush Mezaji Par
Firaq E Taiba Mey Rehta Hey Aab Ranjida Ranjida

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda

Exit mobile version