Lahad Mein Ishqe Rukhe Shah Ka Daagh Le Ke Chale – Ala-Hazrat Naat Lyrics
Lahad Mein Ishqe Rukhe Shah Ka Daagh Le Ke Chale
Andheri Raat Suni Thi Chiraagh Le Ke Chale
Tere Ghulamon Ka Naqshe Qadam Hai Raahe Khuda
Woh Kya Behak Sake Jo Yeh Suraagh Le Ke Chale
Jinaan Banegi Muhibbaane Chaar Yaar Ki Qabr
Jo Apne Seene Mein Yeh Chaar Baagh Le Ke Chale
Gaye, Ziyaarate Dar Ki, Sad Aah Waapas Aaye
Nazar Ke Ashk Puche Dil Ka Daagh Le Ke Chale
Madina Jaane Jinaano Jahaan Hai Woh Sun Le
Jinhe Junoone Jinaan Suye Jaagh Le Ke Chale
Tere Sahaabe Sukhan Se Na Nam Ki Nam Se Bhi Kam
Baleegh Bahre Balaaghat Balaagh Le Ke Chale
Huzoore Taiba Se Bhi Koi Kaam Badh Kar Hai
Ki Jhoote Heelaye Makro Faraagh Le Ke Chale
Tumhare Wasfe Jamaalo Kamaal Mein Jibreel
Muhaal Hai Ki Majaalo Masaagh Le Ke Chale
Gilaa Nahi Hai Mureede Rasheede Shaitaan Se
Ki Us Ke Wus’ate Ilmi Ka Laagh Le Ke Chale
Har Ek Apne Bade Ki Badaayi Karta Hai
Har Ek Mugbacha Mug Ka Ka Ayaagh Le Ke Chale
Magar Khuda Pe Jo Dhabba Darogh Ka Thopa
Ye Kis Laeen Ki Ghulami Ka Daagh Le Ke Chale
Wuquye Kizb Ke Maa’ni Durust Aur Quddoos
Hiye Ki Foote Ajab Sabz Baagh Le Ke Chale
Jahaan Mein Koi Bhi Kaafir Sa Kaafir Aisa Hai
Ki Apne Rab Pe Safaahat Ka Daagh Le Ke Chale
Padi Hai Andhe Ko Aadat Ki Shorbe Hi Se Khaaye
Bater Haath Na Aayi To Zaagh Le Ke Chale
Khabees Bahre Khabeesa Khabeesa Bahre Khabees
Ki Saath Jins Ko Baazo Kulaagh Le Ke Chale
Jo Deen Kawwon Ko De Baithe Un Ko Yaksaan Hai
Kulaagh Le Ke Chale Ya Ulaagh Le Ke Chale
Raza Kisi Sage Taiba Ke Paau Bhi Chume
Tum Aur Aah Ki Itna Dimaagh Le Ke Chale