Kuch Nahi Mangta Shahon Se Ye Sheda Tera

Kuch Nahi Mangta Shahon Se Ye Sheda Tera – Naat Lyrics in Urdu

kuch nahi mangta shahon se yeh sheda tera
is ki dolat hain faqat naqsh e kaf e paa tera

poray qad se jo khara hon tu ya tera ha karam
mujh ko jhoknay nahin deta ha sahara tera

dastgiri meri tanhi ki tu na hi tu ki
mein tu mar jata agar saata na hota tera

log kehte hain ke saya tere pekar ka na tha
main tu kehta hon jahan bhar pe hai saya tera

aik baar aur bhi teba se falasteen main aa
rasta dekhti hai masjid aksa tera

ab bhi zulmat faroshon ko gila hai tujh se
rat baki bhi ke suraj nikal aya tera

mashriq wa maghrb mein bikhray huwa gulzaroo ko
nikhtain bant ta ha aaj bhi sahara tera

ta ba ta tergiyain zahn pa jab lutti hain
noor ho jata ha kacha aur hawada tera

kuch nahi sujta jab piyas ki shidat se mujh
chalak utta ha mera roh mein meena tera

tu bashr bhi ha magar fakhir e bashr bhi tu ha
mujh ko tu yaad ha bas itna sarapa tera

mein tujh alam e asia mein bhi pa lata hu
log kahtay hain k alam e baala tera

meri aankhon se jo dhondain tujha har so dekhain
sirf khalwat mein jo kartay hain nazara tera

woh andharoon se bhi dar’ana guzar jatay hain
jin ky mathay mein chamakta ha sitara tera

nadyain ban ky pahroon mein tu sab ghoomtay hain
raag zaroon mein bhi bahta raha darya tera

sharq aur gharb mein nikhray hua gulzaroon ko
nikhtain bant ta ha aaj bhi sahara tera

tujh se pehlay ka jo mazi tha hazaroo ka sahi
ab jo ta hashr ka farda ha wo tanha tera

kuch nahi mangta shahon se yeh sheda tera
is ki dolat hain faqat naqsh e kaf e paa tera

Read More:

Exit mobile version