Khuda Ke Fazal Se Hum Par Hai Saya Ghous e Azam Ka
Manqabat Lyrics
Khuda Ke Fazal Se Hum Par He Saya Ghous E Azam Ka
Humein Dono Jahan Me He Sahara Ghous E Azam Ka
Muhammed Ka Rasoolo Me He Jaise Martaba A’ala
He Afzal Awliya Me Yun Hi Rutba Ghous E Azam Ka
Mureedi La-Takhaf Keh Kar Tasalli Di Ghulamo Ko
Qayamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Ghous E Azam Ka
Hamari Laj Kiske Hath He Baghdad Wale Ke
Musibat Tal Dena Kam Kiska Ghous E Azam Ka
Gaye Ek Waqt Me Sattar Mureedo Ke Yaha Hazrat
Samajh Me A Nahi Sakta Muamma Ghous E Azam Ka
Luab Apna Chataya Ahmed E Mukhtar Ne Inko
To Phir Kaise Na Hota Bolbala Ghous E Azam Ka
Azizo Kar Chuko Taiyar Jab Mere Janaze Ko
To Likh Dena Kafan Par Nam E Wala Ghous E Azam Ka
Farishto Rokte Ho Kyu Mujhe Jannat Me Jane Se
Ye Dekho Hath Me Daman He Kiska Ghous E Azam Ka
Lahad Me Jab Farishte Mujhse Poochenge To Keh Dunga
Tariqa Qadri Hu Nam Leva Ghous E Azam Ka
Khudawanda Dua Maqbool Kar Hum Roo Siyaho(n) Ki
Gunahon Ko Hamare Baksh Sadqa Ghous E Azam Ka
Khuda Ke Fazal Se Hum Par Hai Saya Ghous E Azam Ka
Humein Dono Jahan Me He Sahara Ghous E Azam Ka
Janab Ghous Dulha Aur Barati Auliya Honge
Maza Dikhlayega Mehshar Me Sehra Ghous E Azam Ka
Nida Dega Munadi Hashr Me Yun Qadriyo Ko
Kidhar He Qadri Karle Nazara Ghous E Azam Ka
Mukhalif Kya Kare Mera Ke He Behad Karam Mujh Par
Khuda Ka Rehmatallil A’almeen Ka Ghous E Azam Ka
Farishte Madrasa Tak Sath Pohchane Ko Jate The
Ye Darbar E Ilahi Me He Rutba Ghous E Azam Ka
Salasile Jahan Kyu Gar Na Unke Rob Se Kampe
Na Laya Sher Ko Khatre Me Kutta Ghous E Azam Ka
Jameel E Qadri Sau Jan Ho Qurban Murshid Par
Banaya Jisne Tujh Jaise Ko Banda Ghous E Azam Ka