Jisay Chaha Dar Pe Bulaa Liya – Naat Lyrics in Urdu
Jisay chaha dar pe bulaa liya, jisay chaha apna bana liya
Ye baray karam ke hain faisle, ye baray naseeb ki baat hai
Na kahin Se door hain manzilein,na koi qareeb ki baat hai
Jise chahay Uss Ko nawaz de, ye dar-e-Habib ki baat hai
Ye baray karam ke hain faisle, ye baray naseeb ki baat hai
Woh bhatak ke raah main reh gayi, ye machal ke darr se lipat gayi
Woh kisi ameer ki shaan thi, ye kisi ghareeb ki baat hai
Ye baray karam ke hain faisle, ye baray naseeb ki baat hai
Mujhe jaan se barh ke azeez dil, mera dard dil se azeez tar
Hai jo dard se bhi azeez tar, woh mere Tabeeb ki baat hai
Ye baray karam ke hain faisle, ye baray naseeb ki baat hai
Mein buron se laakh buraa sahi, magar unse hai mera waasta
Meri laaj rakh le mere khuda, ye tere Habeeb ki baat hai
Ye baray karam ke hain faisle, ye baray naseeb ki baat hai
Tujhe ayee Munaware-be-Nawaa, dar-e-sheh se chahiye aur kya
Jo naseeb ho kabhi samna, to bade naseeb ki baat hai
Jisay chaha dar pe bulaa liya, jisay chaha apna bana liya
Ye baray karam ke hain faisle, ye baray naseeb ki baat hai
Read More Naat Lyrics
- Rab Farmaya Mehbooba Zamaney Saaray Tere Ne
- Haal e Dil Kis Ko Sunain Aap Ke Hote Huye
- Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
- Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi
- Baagh e Jannat Mein Nirali Chaman Aarai Hai
Inspirational Islamic Quotes in Urdu with Beautiful Images
Urdu/English Websites related to Islam. Islamic website for preaching & educating Islam, knowledge and information in the light of Quran and Sunnah.
You can find Islamic Article/Blog here in Urdu/English