Jaaliyon Par Nigahein Jamee Hain
Ghaus-e-Azam Manqabat (LYRICS)
Jaaliyon Par Nigahein Jamee Hain
Faaslo Ko Khudara Mitaa Do
Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do
Apna Jalwa Isi Main Dikha Do
Jaaliyon Par Nigahein Jamee Hain
Ek Mujrim Siyah Kaar Hu Main
Har Khata Ka Sazawar Hu Main
Mere Chaaron Taraf Hai Andhera
Roshni Ka Talabghar Hu Main
Ek Diya He Samajh Ke Jala Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain
Ghous Ul Azam Ho Ghous Ul Waraa Ho
Noor Ho Noor E Salle Ala Ho
Kya Bayaa’n Aapka Martaba Ho
Dastagheer Aur Mushkil Kusha Ho
Aaj Deedar Apna Kara Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain
Wajd Main Aayega Saara A’alam
Jab Pukarenge Ya Ghous E Azam
Wo Nikal Aayenge Jaaliyo Se
Aur Qadmo Mein Girr Jayenge Hum
Phir Kahenge Ke Bigri Bana Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain
Shiddat E Ghum Se Ghabhra Gaya Hu
Ab To Jeene Se Tang Aa Gaya Hu
Har Taraf Aapko Dhundhta Hu
Har Ek Ek Se Ye Poochta Hu
Koyi Paigham Ho To Bata Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain
Sunn Rahe Hai Wo Fariyad Meri
Khaaq Hogi Na Barbaad Meri
Main Kahi Bhi Maru Shah E Jeela’n
Rooh Pohchegi Baghdad Meri
Mujhko Parwaaz Ke Parr Laga Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain
Fiqr Dekho Khayalat Dekho
Ye Aqeedat Ye Jazbaat Dekho
Main Hu Kya Meri Auqaat Dekho
Saamne Kaisi Hai Zaat Dekho
Apne Sarr Ko Adeeb Ab Jhuka Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain
Jaaliyon Par Nigahein Jamee – New Manqabat Ghous Pak – Hafiz Tahir Qadri
Read More: