Huzoor Aap Ke Dar Ka Mein Adna Gada Hun
Naat Lyrics in Urdu
Huzoor Aap Ke Dar Ka Mein Adna Gada Hun
Mere dam mein aaqa ye dam Aapka hai
Huzoor Aap ke tukdon par jee raha hun
Mein kuchh bhi nahin hun karam Aap ka hai
Ye qur’aan Rabb ne jo nazil kiya hai
Huzoor Aap ka hi qaseeda likha hai
Khuda keh raha hai Habeeb-e-Khuda se
Ye Loh bhi Tumhari Qalam Aap ka hai
Huzoor Aap ke tukdon par jee raha hun
Mein kuchh bhi nahin hun karam Aap ka hai
Use gardishein ab mitaengi kaise
Hawaein use ab bujaengi kaise
Diya ban ke jalta hai sine mein har dam
Mere Mustafa ye jo gham aap ka hai
Huzoor Aap ke tukdon par jee raha hun
Mein kuchh bhi nahin hun karam Aap ka hai
Falak kyun hai roshan zara ye to socho
Zameen kyun hai roshan zara ye to samjo
Wahan par bhi Aaqa Qadam aap ka hai
Yahan par bhi Qadam Aap ka hai
Huzoor Aap ke tukdon par jee raha hun
Mein kuchh bhi nahin hun karam Aap ka hai
Zubaan pe ye jis ke ye har dam sada ho
Madad al-Madad Ae Rasool-e-Khuda ho
Wohi jaa raha hai Khuld-e-Bari ko
Ke Thama hua jis ne Alam Aapka hai
Huzoor Aap ke tukdon par jee raha hun
Mein kuchh bhi nahin hun karam Aap ka hai
Mein sab se bura hun mein ye manta hun
Husoor Aapka hun yahi janta hun
Bada naaz hai Mujko Mere Mustafa par
Ata jo kiya hai Bharam Aapka hai
Huzoor Aap ke tukdon par jee raha hun
Mein kuchh bhi nahin hun karam Aap ka hai
Jahan par Farishte Salami ko aayein
Jahan par hai Insaan Me’raaj paayein
Chhama Chham jahan bhar se noor Khuda ka
Mere Mustafa wo Haram Aap ka hai
Huzoor Aap ke tukdon par jee raha hun
Mein kuchh bhi nahin hun karam Aap ka hai
Yehi kab se Ahmed meri justaju hai
Yehi to sada se Meri Aarzu hai
Meri Rooh nikle usi Raste par
Jahan par bhi naksh-e-Kadam Aapka hai
Huzoor Aap ke tukdon par jee raha hun
Mein kuchh bhi nahin hun karam Aap ka hai
Lyrics Source: www.naat-e-sarkar.com
Naat – Huzoor App ke Dar Ka – Zohaib Ashrafi
Read More: