Urdu Islamic Quotes

Hazrat Ali R.A Quotes in Urdu | Sayings of Hazrat Ali R.A – With Images

The life of Hazrat Ali رضی اللہ تعالٰی عنہ was a fountain of knowledge and wisdom. He had a strong will in matters of Allah عزّوجلّ and in the support of Islam. He talked in a decisive manner and resolved issues with great justice. He was not interested in the worldliness. His heart was full with the fear of Allah عزّوجلّ , and had been very tearful. He used to hold his Nafs accountable.  He رضی اللہ تعالٰی عنہ had a majestic personality that people felt reluctant to talk to him but whenever anyone visited him he always came forward to meet with warm welcome. He رضی اللہ تعالٰی عنہ answered their queries and accepted their invitations.

The virtues and excellences of Hazrat Ali رضی اللہ تعالٰی عنہ are beyond description may Allah عزّوجلّ have mercy on him and forgive us without accountability for his sake.

Here is a collection of Hazrat Ali R.A Quotes/Saying. 

 

Source of the Sayings of Hazrat Ali R.A

 

  • Book Name: “Aqwal-e-Hazrat Ali R.a Ka Encyclopedia”
  • Composer: Muhammad Maghfoor-ul-Haq
  • Compilation: Hafiz Nasir Mehmood

Note: Being Human anyone can commit mistake, so if you find us wrong anywhere, Kindly mention us and we will correct it. Thanks.

May ALLAH SWT accept our good deeds and forgive our mistakes and sins. Ameen

Hazrat Ali R.A Quotes in Urdu 

bd-tareen dost woh hai jis ki khatir takaluf karna pare

– Hazrat Ali R.A Quotes

Jis ka zahir us ke batin sy ziada aham ho qayamt ke din uska amaal nama halka hoga or jis ka batin us ke zahir sy ziada aham ho uska aamaal nama wazni hoga

imaan aik safaid chamak ban kar zahir hota hai jab bandah naik aaamaal karta hai to woh roshni barh jati hai yahan tak ke uska sara qalb roshan ho jata hai

Jis din hm ALLAH ki nafrmani nah krain hamare liye eid ka din hai

Hazrat Ali R.a

bila-ilm ebadat, Bila muhim ilm or bila tadabur qirat be faida hai

jis shaks ki umeedain lambi or daraz hoti hain us ke aamaal bure or khrab hote hain

jo Shakhs naiki ka talabgar ho. wo akhir aik din ussy pa leta hai. or jo shar par ghalib ajaye wo fatahmand or kamyab ho jata hai 

Jo shakhs anjam-kaar ko sochta hai wo buhat si khrabion sy mehfoz rehta hai

naiki ka irada shar ki aag ko bujha deta hai

Hazrat Ali R.A

Mai ne RAB ko apne iradon ke tootne sy pehchana

Hazrat Ali R.a

jo shakhs apne gazab or ghussy ki ata’at karta hai wo buhat jald nuqsan ko pohnch jata hai

sahib izzat wo shakhs hai jo ata’at ilahi ke zaivar sy aarasta ho

aurton ki ata’at ahmaqon ki khslt or bazurgi ko aib lagana hai

jis mai amanat daari nahi us mai iman nahi

Hazrat Ali R.A

jo shakhs apne nafs ki haqiqat say na waqif rehta hai wo apni islah sy be niaz rehta hai

buzdili aik afat hai past himatti kam aqli hai

Hazrat Ali R.a

tamam muminon mein sab sy behtar iman wala woh hai jis ka lain dain, gussa, khushnudi sab kuch “ALLAH TA’ALA” ke liye ho

momin ki ghairt sirf ALLAH TAALA ki khushnudi ke liye hoti hai

Hazrat Ali R.a

Sab Sy ziada ghani woh shakhs hai jo ALLAH ki taqseem par Raazi Hai

Jab tak tu burai sy bezaar nahi ho jaye tab tak naiki ko kabhi hasil nahi kar sakta

apni khush haali ke zamana mein logon ke sath bhalai kr ke apne liye aisa samaan tyar kr jo tangi ke waqt kam aye

wo shakhs sab sy bara bewaqoof hai jo dusron ki buraion ko bura samjhe lekin khud un par jama rahe

buri adat behodgi, bura sathi hasad or bura haar gunah ka haar hai

sahib raye buht log hain magar sahib basiart buhat kam hain

parhaizgari gunahon sy bachne or pakdamni ka zariya hai

Hikmat aik darakht hai jo dil mai paida hota hai or zuban par phal lata hai

Hasad aik la ilaj bemaari hai joo hasid ya mahsood ki mout tak door nahi hoti

Dunya mai ALLAH TA’ALA ka khof rakhna aakhrt ke darr sy bchata hai

jo shakhs aqal rakhta hai wo aksar khamosh rehta hai

Hazrat Ali R.a

Allah Ta’ala ke khof say rona uski rehmat ki kunji hai

Hazrat Ali R.a

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision Islamic Duas! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! SABR.. Beautiful. Masha’Allah ❤ Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! Islamic Duas! Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤ Allahumma innaka `afuwwun tuhibbul `afwa fa`fu `annee