Islamic Nasheed LyricsJunaid Jamshed

Haram Ki Muqaddas Fizaon Mein – Junaid Jamshed (Lyrics)

Haram Ki Muqaddas Fizaon Mein

Junaid Jamshed (Lyrics)

Haram ki muqaddas fizaon mein gum hun
Main jannat ki thandhi hawaon mein gum hun

Main begana hokar har ek masiwa se
Bas ek ashna ki wafaon mein gum hun

Zabanen jahan gung hain lafz sashdar
tahayuur ki aisi Fizaon main gum hun

Main kaabe ki be-aab-o-rang pattharon se
Karam ki umadti ghataon mein gum hun

Kabhi sang-e-aswad ki kirnon se hairan
Kabhi multazam ki duaon mein gum hun

Mukhaffal hain dar lut rahe hain khazane
‘Ata ki nirali ‘adaon mein gum hun

Har ek dil se zulmat ke dal chhat rahen hain
Ghilaf-e-siyah ki ziyaon mein gum hum

Jo mere gunahon ko bhi dho rahi hai
Main rahmat ki un intehaon mein gum hun

Ye mizab-e-rahmat ke pur dard naale
Falak se barasti ‘ataon mein gum hun

Ye zamzam ke chashme ye pyason ke jamghat
Zameen se ubalti shifaon mein gum hun

Jo is aasta ke lagate hain phere
Main unke junoon ki ‘adaon me gum hun

Khaden hain bhikari tere dar ko thame
Main unki bilakti sadaon mein gum hun

Ye seene se uthti nadamat ki aahen
Main un dard-e-dil ki dawaon mein gum hun

Ye kaabe ke darbar ye naazon ke pale
Main unki pyari jafaon me gum hun

Tasawur me yadon ki mahfil saji hai
Tahayyul ki dilkash khalaon mein gum hun

Abhi sharkh ulfat ki manzil kahan hai
Abhi to taqi ibtedaon me gum hun

Main gum hun, main gum hun, main gum hun
Main jannat ki thandhi hawaon mein gum hun

HARAM KI HAWAIIN (HADI UL ANAAM) JUNAID JAMSHED

 

Read More Naat Lyrics of Junaid Jamshed:

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision Islamic Duas! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! SABR.. Beautiful. Masha’Allah ❤ Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! Islamic Duas! Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤ Allahumma innaka `afuwwun tuhibbul `afwa fa`fu `annee