Hammay apna Woh (Salla’lahu Alayhi Wa Sallam) kehtey hain
Hammay apna Woh (Salla’lahu Alayhi Wa Sallam) kehtey hain, Muhabbat ho tou aise ho
Hammay nazrou may rakhtey hain, Inaayat ho tou aise ho
Woh (Salla’lahu Alayhi Wa Sallam) pathar maarne waalo ko detay hain dua aksar
Koi lao misaal aise, sharaafat hou tou aise ho
Ishaara jab Woh (Salla’lahu Alay’hi Wa Sallam) famaey, tou pathar bol uthtay hain
Nabuwwat ho tou aise ho, Risaalat hou tou aise ho
Wahaaa mujrim ko milti hain pahaei bhi jazaein bhi
Madiney may jo lagti hay, adalat ho tou aise ho
Maire Aqa (Salla’lahu Alayhi Wa Sallam) ki wilaadat per huwey sab ko ata detey
Issey milaad kehtey hain, wilaadat ho tou aise ho
Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (Salla’lahu Alayhi Wa Sallam) ki hasti per
Ali Maula (radi Allahu ‘anhu) ne batlaaya, ibaadat ho tou aise ho
Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay chahrey per
Ali Maula (Radi Allahu ‘anhu) ne batlaaya, ziyaarat ho tou aise ho
Hussain ibne Ali (Radi Allahu ‘anhu) ne karbala may ye kiya saabit
Rahe jaari jo nayzey per, tilaawat ho tou aise ho
Read More Naat Lyrics: