Do jahaan ke Wali

Do jahaan ke Wali

Do jahaan ke Wali (Salla’llahu Alayhi Wa’Sallam) ka do jahaan pe saya hai
Unko to Khuda ne Unki marzi se banaya hai

Noori noori talwe hai, kaise pyare jalwe hai
Chand Unke jalwo ki bheek lene aaya hai

Barkato ki raile hai, nooriyo ki mele hai
Haleema (radi Allahu ‘anha) teri kotya me Kaun muskuraya hai

Toor par kaha Rabb ne, Lan Taraani Musa
Lekin mere Aaqa (Salla’lahu Alayhi Wa’Sallam) ko, (Rabb ne) arsh par bulaya hai

Nabiyo ne salami di, waliyo ne ghulami ki
Sar pe Unke Khaaliq ne taaj woh saja hai

Mauj mein jab Aate hain, Woh taajwar banate hain
Sab pe hai karam Nasir, apna ya paraya hai

Wa d-Duha (Salla’lahu Alayhi Wa’Sallam) ka Chehra hai, Taha (Salla’llahu Alayhi Wa’Sallam) ka Sehra hai
Unke muskurane se zamana jagmagaya hai

Do jahaan ke Wali (Salla’llahu Alayhi Wa’Sallam) ka do jahaan pe saya hai
Unko to Khuda ne Unki marzi se banaya hai

Gham Sabhi Rahat O Taskeen Mein Dhal Jaate Hain

Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar

Har waqt Tasaw’wur mein Madine Ki Gali Ho – Naat Lyrics

Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro [Huzoor agaye hain] Lyrics

Facebook Page
Youtube Channel
Exit mobile version