Dil Main Ishq e NABI Ki Ho Aisi Lagan Lyrics

Dil Main Ishq e NABI Ki Ho Aisi Lagan Lyrics

Dil main ishq e Nabi  (Sallallahu ‘Alayhi Wa Sallam) ki ho aisi lagan,
Ruh tarapti rahe dil machalta rahe

Zindagi ka maza hey kay har saans say
Ya Muhammad Muhammad (Sallallahu ‘Alayhi Wa Sallam) nikalta rahy.

Dil Main Ishq-e-Nabi (Sallallahu ‘Alayhi Wa Sallam)  Ki Ho Aesee Lagan

Ya Muhammad Muhammad (Sallallahu ‘Alayhi Wa Sallam) mein kehta raha,
Noor kay motiyo ki lare ban gaee,
Ayaton sey milata raha ayatein,
Phir jo dekha to Naat e Nabi (Sallallahu ‘Alayhi Wa Sallam) ban gaye.

Jo bhi ansoo bahe merey Mehboob kay,
Sab key sab abr e rehmat kay cheentay banay,
Chah gaee raat jab zulf lehra gaee,
Jab tabasum kiya chandani ban gaee.

Yeh to maana kay jannat hai bagh e haseen,
Khoobsoorat hey sab khuld ki sar zameen,
Husn e jannat ko phir jab samayta gaya,
Sarwar e Ambiya (Sallallahu ‘Alayhi Wa Sallam) ki galee ban gaee.

Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka,
Waduha par liya, wal qamar keh dia,
Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi,
Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi.

Sab say saim zamanay main mazoor tha,
Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha ,
Un ko reham agaya merey halaat par,
Meree azmat meree beybasee ban gaee.

Dil mein ishq e Nabi (Sallallahu ‘Alayhi Wa’Sallam) ki ho aisi lagan,
Rooh tarapti rahay dil machalta rahay,
Zindagi ka maza hai kay har saans say,
Ya Muhammad Muhammad (Sallallahu ‘Alayhi Wa Sallam) nikalta rahey

Fore More Naat Lyrics Click Here

Collection of Naat Lyrics

Urdu Naat – Punjabi Naat – All Naats

You Can Listen Mp3 Naats by clicking Naats Mp3

For Naat Videos Click Here

Read Articles:

Quran Recitation | Blessings, Reward and Benefits
How to Become a Better Muslim
Health Benefits of ABE-ZAMZAM According to Hadiths
THINGS THAT SAVE US FROM HELLFIRE
Exit mobile version