Dar-e-Nabi Per Ye Umar Beete, Ho Hum Pe Lutf-e-Dawaam Aisa
Dar-e-nabi per ye umar beete, Ho hum pe lutf-e-Dawaam aisa
Madine wale kahen maqami, Ho un ke dar per qayam aisa
Labon pe naam-e-nabi jab aaya to gurez-paa haadson ko paya
Jo taal deta hai mushkilon ko, Mere nabi ka hai naam aisa
Jo ghamzadon ko gale lagale, Buron ko daman me jo chhupa le
Hai doosra koun is jahan me, Siway ho khair-ul-anaam aisa
Mujh hi ko dekho hun wo be-talab, Nawazte ja Rahe Hain Peham
Na koi mera amal hai aisa, Na koi mera hai kaam aisa
Bilal tujh per nisaar jaaun, Ke khud nabi ne tujhe kharida
Naseeb ho to naseeb aisa, Ghulam ho to ghulam aisa
Namaz aqsa me jb padhai, To ambiya aur rusul ye bole
Namaz ho to namaz aisi, Imam ho to imam aisa
Main khalid apne nabi pe qurban, Hai jinka khulq-e-azeem quran
Hai roshni jis ki do jahan me, Kahin hai mah-e-tamam aisa
Dar-e-nabi per ye umar beete, Ho hum pe lutf-e-Dawaam aisa
Madine wale kahen maqami, Ho un ke dar per qayam aisa
Read More: