Bandah Qadir ka bhi Qadir Bhi Hai Abdul Qadir

Bandah Qadir ka bhi Qadir Bhi Hai Abdul Qadir – Manqabat Lyrics

Bandah Qadir ka bhi Qadir Bhi Hai Abdul Qadir
Sir-e-baatin bhi hay zaahir bhi hai Abdul Qadir

Mufti-e-shar’a bhi hay qaazi-e-millat bhi hai
Ilm-e-asraar sey maahir bhi hai Abdul Qadir

Manba’a faiz bhi hay majma’a afdaal bhi hay
Meher-e-irfaan ka munnawar bhi hai Abdul Qadir

Qutb-e-abdaal bhi hay mehwer -e-irshaad bhi hay
Markaze daairah-e-sir bhi hai Abdul Qadir 

Salak-e-irfaan ki ziya hay yahi dur-e-mukhtaar
Fakhr-e-ashbaah-wa-nazair bhi hai Abdul Qadir

Us key farmaan hain sab shaareh hukm-e-shaare 
Mazhare naa hi-o-aamir bhi hai Abdul Qadir 

Zee tasarruf bhi hay maazoon bhi mukhtar bhi hay
Kaar-e-aalam ka muddabir bhi hai Abdul Qadir

Rashk-e-bulbul hay RAZA laala-e-sad daagh bhi hay
Aap ka waasif-o-zaakir bhi hai Abdul Qadir

Poet: Ala-Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Brelvi R.A

MANQABAT-E-GHAUS-E-AZAM (R.A)

Exit mobile version