Baagh e Jannat Mein Nirali Chaman Aarai Hai

Baagh e Jannat Mein Nirali Chaman Aarai Hai – Naat Lyrics in Urdu

Baagh e Jannat Mein Nirali chaman aarai hai
Kya Madine pe fida hoke bahar aayi hai

Unke desu nahi rehmat ki ghata laayi hai
Unke aabru nahi do Qiblo ki yaqzayi hai

Saarewala unhe rehmat ki ghata laayi hai
Haal bighda hai toh bimaar ki ban aayi hai

Jiske haatho ke banaye huye hai husno jamal
Aye hasin teri adaa usko pasand aayi hai

Tere jalwo me yeh aalam hai ki Chashme Aalam
Taab deedar nahi fir bhi tamashaahi hai

Jab teri yaad me duniya se gaya hai koi
Jaan lene ko dulhan ban ke kaza aayi hai

Dard dil kisko sunao mai tumhare hote
Bekaso ki iisi sarkar me sunwayi hai

Chashme be Khwaab ke sadqe me hai bedaar nasib
Aap jaago toh hume chain ki neend aayi hai

Na ummido tumhe muzda ki khuda rehmat
Unhe mehshar me tumhare hi liye laayi hai

Aye Hassan Husne jaha taab ke sadqe jau
Zarre zarre se aaya Jalwa e Jebayi hai

Baagh e Jannat mein nirali chaman aarai hai
Kya Madine pe fida hoke bahar aayi hai

COLLECTION OF NAAT LYRICS

Exit mobile version