Aya Na Hoga Is Tarha, Husn o Shabab Rait Par
Manqabat-e-Hazrat Imam Hussain R.A
Ayaa na Hoga is Tarha, Husn o Shabab Rait par
Gulshan e Fatima ke thay, sare gulaab rait par
Jane Batool ke siwa, koi nahin khila saka
Qatra e aab ke bagheir, itne ghulaab rait per.
Jitne sawal ishq ne, aal e Rasool se kiye
Eik ke baad aik diye, sare jawab rait par.
Tarse Hussain aab ko, Mai jo kahun be-adab
lamsay labe Hussain ko tarsa hai aab Rait par
Pyaasa Hussain ko kahoon, itna to be adab nahin
Lam se labe Hussain ko, tarsa hai aab rait par.
Ishq main kiya bachaiye, ishq mein kiya lutaiye
Ale Nabi ne likh diya, sara nissab rait par.
lazzate sozish-e-Bilal, shouq-e-shahadate Hussain
Jis ne liya youhin apna khitaab Rait par
Ale Nabi ka kaam tha, ale Nabi hi kar gaye
Koi na likh saka adeeb aisi kitaab rait par
Aya na Hoga is Tarha, Husn o Shabab rait par
Gulshan e Fatima ke thay, sare gulaab rait par
Read More Lyrics:
- SAYYED NE KARBALA MEIN WAADE NIBHA DIYE HAI
- MERA BADSHAH HUSSAIN HAI
- MERE HUSSAIN TUJHE SALAAM
- MANZAR FIZAAE DEHR ME SAARA ALI KA HAI
URDU NAAT LYRICS – PUNJABI NAAT LYRICS – MANQABATS LYRICS