Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon – Naat Lyrics

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon
Iss Karam Ki Badolat Barha Hoon
Unkay Tukroon Say Ezaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hoon

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon
Iss Karam Ki Badolat Barha Hoon

Iss Karam Ko Magar Kiya Kaho Gay
Meinay Mana Mein Saab Say Bura Hoon
Jo Buroon Ko Samatay Huey Hain
Unkay Qadmoon Mein Bhi Para Hoon

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon
Iss Karam Ki Badolat Barha Hoon

Dekhnay Walo Mujhko Na Dekho
Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho
Kisay Daman Say Wabasta Hoon Mein
Kon Wa’ali Hai Kiska Gada Hoon

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon
Iss Karam Ki Badolat Barha Hoon

Dekhta Hoon Jab Unki Aataein
Bhool Jata Hoon Apni Khataein
Sir Nadamat Say Uthta Nahin Hai
Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon

Apni Nisbat Sy Mein Kuch Nahi Hoon
Iss Karam Ki Badolat Barha Hoon

Ya Nabi (Sallallahu Alayhi Wa’sallam) Apnay Gham Ki Kahani
Keh Sakoon Ga Na Apni Zubani
Bin Kahay Hi Meri Laj Rakhlo
Mein Sisikti Hui Iltja Hoon

Apni Nisbat Sy Mein Kuch Nahi Hoon
Iss Karam Ki Badolat Barha Hoon

Shafe Mujniba Kay Karam Nay
Laj Rakhli Meray Khothay Pan Ki
Nisbatoon Ka Karam Hai Yeh Khalid
Khotha Hotay Huey Bhi Khara Hoon

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon
Is Karam Ki Badolat Barha Hoon
Unkay Tukroon Say Azaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hoon

https://www.youtube.com/watch?v=kn3-XXH82D4

Read More Naat Lyrics

Exit mobile version