Ab Tou Bas Aik Hi Dhun Hai Madina Dekhoon
Akhri waqt mein kya raunaq e dunya dekhoon
Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhoon
Isne bhi Madina dekh liya usne bhi Madina dekh liya
Sarkar kabhi toh mai bhi kahoon maine bhi Madina dekh liya
Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhoon
Mainu majburiya te dooriya ne maareyaa
Sadh lo Madine Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karo meherbaaniyan
Tussaan te hai derra main ton bari door la leya
Sadh lo Madine Aaqa Karo Meherbaaniyan
Ab toh bas ek hi dhun hai Ke Madina dekhoon
Phir karam ho gaya main Madine chala
Jhoomta jhoomta main Madine chala
Saakiya meh pila main Madine chala
Mast o bekhud bana main Madina chala
Mere Aaqa ka dar hoga paysh e nazar
Chahiye aur kya main Madine chala
Ab toh bas ek hi dhun hai Ke Madina dekhon
Ek roz hoga jana Sarkar ki Gali mein
Hoga waheen thikana Sarkar ki gali mein
Ab toh bas ek hi dhun hai Ke Madina dekhoon
Teri jaliyon ke neeche Teri rehmato ke saaye
Jisse dekhni ho Jannat woh Madina dekh aaye
Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhoon
Mere Maula meri aankhein mujhe wapis karde
Taake iss bar mai jee bhar ke Madina Dekhon
Ab toh bas ek hi dhun hai Ke Madina dekhon
Bulalo phir mujhe ay Shah e Bahrobar Madine mein
Mai phir rota huwa aaun Tere dar par Madine mein
Madine jaane waalo jaao jaao Fi Aman’illah
Kabhi toh apna bhi lag jayega bistar Madine mein