Ab Tangi-e-Daman Pe Na Ja Aur Bhi Kuch Mang – Urdu Naat Lyrics
Ab Tangi-e-Daman pe na ja aur bhi kuch mang
Hein Aaj wo Maeel ba ata aur bhi kuch mang
Har chand ke Aaqa ne bhara hai Tera Kashkol
Kamzarf na ban Hath bada Aur bhi kuch mang
Sultane Madina ki ziyarat ki dua kar
Jannat ki talab chiz hai kya Aur bhi kuch mang
Mana ke isi dar se ghani hoke utha hai
Fir bhi dare Sarkar pe ja Aur bhi kuch mang
Jin logon ko ye shaq hai karam unka hai Mehdood
Un logon ki baton pe na jaa Aur bhi kuch mang
De sakte hein kya kuchh ke wo kuchh de nahin sakte
Ye bahes na kar hosh mein aa Aur bhi kuch mang
Us dar pe anjam hua Husne Talab ka
Joli Meri bhar bhar ke kaha Aur bhi kuch mang
Pahuncha hai jo is dar pe Tu reh reh ke Naseer Aaj
Aawaz pe Aawaz laga Aur bhi kuch mang
https://www.youtube.com/watch?v=raSP3UR7ZOU
Read More:
- Naatain Sarkar ki Parhta Hoon Mai
- Ya RASOOLALLAH Tere Dar Ki Fazaao Ko Salaam
- Paish-e-Haq Muzhda Shafa’at Ka Sunatay Jaayainge
- Tu Shah E Khuban Tu Jaan E Jaana Hai Chehra Ummul Khitab Tera
Urdu/English Websites related to Islam. Islamic website for preaching & educating Islam, knowledge and information in the light of Quran and Sunnah.
You can find Islamic Article/Blog here in Urdu/English