Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Charoon Taraf Noor Chahya, Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya, Aaqa Ka Milad Aaya
چاروں طرف نور چھایا آقا کا میلاد آیا
Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya, Aaqa Ka Milad Aya
شمس و قمراور تارے کیوں نہ ہوں خوش آج سارے
Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya, Aaqa Ka Milad Aya
خوشیاں مناتے ہیں وہی دھومیں مچاتے ہیں وہی
Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya, Aaqa Ka Milad Aya
0ہے شاد ہر ایک مسلماںکرتا ہے گھر گھر میں چراغاں
Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya, Aaqa Ka Milad Aya
مختارِ کُل مانے جو انہیں نوری بشر جانیں جو انہیں
Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya, Aaqa Ka Milad Aya
جوآج محفل میں آئے من کی مرادیں وہ پائے
Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya, Aaqa Ka Milad Aya
غوث الورٰی اور داتا نے میرے رضا اور خواجہ نے
Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya, Aaqa Ka Milad Aya
نعتِ نبی تم سناؤ عشقِ نبی کو بڑھا ؤ
Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya, Aaqa Ka Milad Aya
جس کو شجر جانتے ہیں کہنا حجر مانتے ہیں
Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya, Aaqa Ka Milad Aya
دل جگمگانے لگے ہیں سب مسکرانے لگے ہیں
Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya, Aaqa Ka Milad Aya
کر اۓ ٔ عبید ان کی مدحت تجھ پر ہو خدا کی رحمت